🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴
🥀 *MASLAKE A'ALA HAZRAT KYA HE*🥀
> Kalma-e-Tayyiba Laa-Ilaaha Il-lallah Muhammad-ur-RasoolAllah Ka Saheeh Haq Bataane Wala
> Sarkar-e-Mustafa SallAllahu Alaihe wa Sallam ki Muhabbat o Ulfat ka Dars Dene Wala
> Ishq-e-Rasool SallAllahu Alaihe wa Sallam Ke Jaam Pilaane Wala
> Hazraat-e-Anbiya-e-Kiraam AlaihimusSalaam ke Maqaam o Mansab ki Shanaakht Karaane wala
> Sahaaba-e-Kiram ki Maraatib-e-Azeema aur Nuqoosh-e-Qadam ki Taraf Rehnumaai Karne wala
> Aale Paak Ki Azamat o Maqaam ka Dars Dene wala
> Shuhadaa-e-Uzaam Ki Himmat o Jur'at Ataa Karne wala
> Aimma-e-Mujtahideen wa Salaf-Saaliheen ke Raasta par Gaam-zan Karne wala
> Awliya-e-Kiram ki Aqeedato ke Saagar Pilaane wala
> Ulama-e-Kiram ki Muhabbato ke Gohar Lutaane wala
> Aqaaid-e-AhleSunnat wa Jama'at se Rosh-naas Karaane wala
> A'amaal-e-Khair ki Manzilo ko Tey Karaane wala
> Dost o Dushman ki Pehchaan Karaane wala
> Shari'at o Tareeqat, Ma'arafat o Haqeeqat ki Raah Dikhaane Wala
> Jahannam se Bachaa kar Jannat ki Taraf le Jaane Wala
SubHaan Allah! Yahi he Maslake A'ala Hazrat jis par Chal kar Imaan Taaza hota he. Jis par Khanqahe Barkatiya Marehra Mutahhara ke Mashaaikh-e-Izaam ki Mohar Sabt he. Aaiye hum sab mil Kar Dua kare k Hum sab Isi Maslak e Haq par Saabit Qadam Rahe aur Imaan par Khaatma Naseeb ho.
Aameen Bijaahi Sayyid-il-Mursaleen SallAllahu Alaihe wa Aalihi Wa Ashaabihi Ajma'een
👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें