🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴



*🥀 Tafseer E Razvi 🥀*



Post 33

یٰبَنِیْۤ اِسْرَآءِیْلَ اذْكُرُوْا نِعْمَتِیَ الَّتِیْۤ اَنْعَمْتُ عَلَیْكُمْ وَ اَنِّیْ فَضَّلْتُكُمْ عَلَى الْعٰلَمِیْنَ(۴۷)

✏️Tarjumah :

Aey Aaulad E Yaqub Yaad Karo Mera Wo Ahsaan Jo Maine Tum Par Kia Aur Yeh Ke Us Saare Zamane Par Tumhe Badai Di

Tafseer

Chunake Bani Israyil Ko Aaulad E Nabi Aur Ahl Ilm Hone Ka Bohat Zayda Guroor Ho Gaya Tha Aur Dusro Se Ta'asub Karne Lage Thay Isliye ALLAH Ta'ala Ne In Aayat Me Unhe Dubara Apni Naimatein Yaad Dila Kar Guroor Wa Ta'asub Se Baz Rahne Aur Apni Naimato Ka Shukar Ada Karne Ki Hidayat Ki Aur Farmaya Ke Aey Aulaad E Yaqub ! Yaad Karo Tum Mera Wo Ehsaan Jo Maine Tum Par Kia Aur Tumhare Baap Dada Ko Us Zamana Ke Logo Par Fazilat Di, Yani Mere Ehsanaat Wa Fazilat Ko Yaad Karo Jo Maine Tumhare Baap Dada Ko Di Thi Ke Isme Ambiyah Badhshah Kiye Thay Aur Unhe Izzat Wa Wajahat Di Thi, Ilm Wa Imaan Dia Tha Pas Iske Shukriyah Me Tum Meri Itaa'at Wa Ibadat Karo Aur Meri Farmabardari Karo.
Tambiya : Bani Israyil Me Chalis Hazar Nabi Paida Hue Aur Un Par Taurait Wa Zaboor Wa Injil Wagera Sahife Jinki Taadad 400 Se Zayda Hoti Hai Utaare

📚Tafseer E Razvi Jild 1 Safah 31



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

इमाम अहमद रज़ा खां फ़ाज़िले बरैलवी अलैहिर्रहमा कितने बार हज़ व ज़ियारत की सआदत से मुशर्रफ़ हुए*0️⃣1️⃣

आला हज़रत और रद्दे बिद्आत