🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴



*🥀 Tafseer E Razvi 🥀*



Post 25

 وَقُلْنَا یٰۤاٰدَمُ اسْکُنْ اَنۡتَ وَزَوْجُکَ الْجَنَّۃَ وَکُلَا مِنْہَا رَغَدًا حَیۡثُ شِئْتُمَا ۪ وَلَا تَقْرَبَا ہٰذِہِ الشَّجَرَۃَ فَتَکُوۡنَا مِنَ الظّٰلِمِیۡنَ﴿۳۵﴾

✏️Tarjumah :

Aur Humane Farmaya Aey Aadam Tu Aur Teri Bibi Is Jannat Me Raho Aur Khao Usme Se Berok Tok Jaha Tumhara Ji Chahe Magar Us Perd Ke Pass Na Jana Ke Had Se Badne Walo Me Ho Jaoge.

Tafseer

 Tauzeeh 

Yeh Pichhali Ayat Ka Tatmiyah Hai, Yani Adam Allaysallam Ko Khal'at Niyabat Milne Aur Masjud E Malaika Banane Ke Bad Humane Unse Farmaya Aey Adam Tu Aur Teri Zauwja (Hawa) Jo Unki Tasli Ke Liye Unki Baye Pasli Se Paida Ki Gayi Thi, Raho Aur Khao Aur Is Jannat Me Berok Tok Jaha Tumhara Ji Chahe Magar Us Perdh Ke Pass Na Jana Yani Usko Na Khana Ke Had Se Bad Jaane Walo Me Se Ho Jaoge Yani Nafarmaan Thhehroge.

Tambiyah : Jis Darkhat Ke Pass Jane Aur Use Khane Ki Mumaniyat Ki Gayi Thi Wo Darkhat Mash'oor Hai Ke Gehu Ka Tha, Magar Sa'adi Wa Saeed Ibn Jubir Kahte Hai Ke Wo Angur Ka Tha, Aur Mujahid Wa Qatada Ke Nazdik Wo Injir Ka Tha, Aur Baz Ne Khajoor Kah Kaha Wallahu Aalam Aur وَلَا تَقْرَبَا Se Is Taraf Ishara Hai Ke ALLAH Ta'ala Ki Haram Ki Hui Chizo Ke Pass Bhi Jana Nahi Chaiye Is Khauf Se Ke Kahi Uske Murtakib Na Ho Jao, Ayat Me ALLAH Ta'ala Ne Agar Che Zulm Ki Nisbat Adam Allaysalam Ki Taraf Ki Magar Hume Unpar Zulm Ka Itlaq Karna, Unhe Zalim Kahna Gunah Aur Amadan Kahna Kufr Hai, ALLAH Ta'ala Unka Malik Hai Wo Jis Lafz Se Chahe Yad Kare Hume Koi Haq Nahi Hai Ke Unki Shaan Me Koi Kalma Beadabi Ka Zubaan Se Nikale, Aur Kalaam E ILLAHI Ki Des Kare, Use Nazir Bana Kar Ambiyah Allaysallam Ki Tauheen Kare, Hume Ambiyah Allaysallam Ki Tazim Wa Tauqeer Karne Ka Hukm Dia Gaya Hai Na Ke Unki Shaan Me Beadabi Karne Ka.

📚Tafseer E Razvi Jild 1 Safah 27



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

इमाम अहमद रज़ा खां फ़ाज़िले बरैलवी अलैहिर्रहमा कितने बार हज़ व ज़ियारत की सआदत से मुशर्रफ़ हुए*0️⃣1️⃣

आला हज़रत और रद्दे बिद्आत