🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴



*🥀 Tafseer E Razvi 🥀*



Post 23

قَالَ یٰۤاٰدَمُ اَنۡۢبِئْہُمۡ بِاَسْمَآئِہِمْ ۚ فَلَمَّاۤ اَنۡۢبَاَہُمْ بِاَسْمَآئِہِمْ ۙ قَالَ اَ لَمْ اَ قُلۡ لَّکُمْ اِنِّیۡۤ اَعْلَمُ غَیۡبَ السَّمٰوٰتِ وَالۡاَرْضِۙ وَاَعْلَمُ مَا تُبْدُوۡنَ وَمَا کُنۡتُمْ تَکْتُمُوۡنَ﴿۳۳﴾

✏️Farmaya Aey Aadam Bata De Unhe Sab (Ashiya Ke) Naam Jab Usne (Yani Adam Ne ) Unhe Sab Ke Naam Bata Diye Farmaya Main Na Kahta Tha Ke Main Janta Hun Aasmaan Aur Zamin Ki Sab Chhipi Chizein Aur Main Janta Hun Jo Kuchh Tum Zahir Karte Aur Jo Kuchh Tum Chhipate Ho

Tafseer

Jab Malaika Ne Apne Aajiz Ka Iqrar Kia To ALLAH Ta'ala Ne Aadam Allaysallam Se Farmaya : Aey Adam In Farishto Ko Un Chizo Ke Naam Batao, Pas Aadam Allaysalam Ne Un Chizo Ke Naam Bata Diye Aur Unke Paida Karne Ki Hikmat Wa Maslehat Bhi Bata Di To ALLAH Ta'ala Ne Bataur Sar Zinsh Farmaya : Main Na Kahta Tha Ke Aasmano Aur Zamin Ki Sabhi Chhipi Hui Chizein Janta Ho Aur Main Janta Hun Jo Kuch Tum Zahir Karte Ho Aur Chhupate Ho, Ayat Me مَا تُبْدُوۡنَ Se Unka Qaul اَتَجْعَلُ فِیۡہَا Murad Hai Aur Agey Ayat Me Unka Yeh Kahna Murad Ke ALLAH Ne Hum Se Bad Kar Buzurag Wa Ilm Wala Paida Nahi Kia Aur Hum Musthaq E Khilafat Hai Qala Qanada Wa Hasan Basri Radiallahu Ta'ala Anha , In Ayat Se Malum Ho Raha Hai Ke Ilm Afzal Ul Aamal Hai Aur Insan Ashraf Ul Makhluqaat Aur Ambiyah Allaysallam Malaika Se Afzal Hai Jaisa Ke Mazhab Ahl Sunnat Hai, Aur ALLAH Ta'ala Ko Paida Karne Se Pehle Sab Chizo Ka Ilm Tha, Aur Khlafat Wa Nabuwat Ke Liye Ilm Ashiya Shart Hai (Siraaj Wa Bezawi)

📚Tafseer E Razvi Jild 1 Safah 26



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

इमाम अहमद रज़ा खां फ़ाज़िले बरैलवी अलैहिर्रहमा कितने बार हज़ व ज़ियारत की सआदत से मुशर्रफ़ हुए*0️⃣1️⃣

आला हज़रत और रद्दे बिद्आत