Tafseer E Razvi 1⃣7⃣

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴
 


*🥀Tafseer E Razvi 🥀*



Post 17

 الَّذِیۡنَ یَنۡقُضُوۡنَ عَہۡدَ اللہِ مِنۡۢ بَعْدِ مِیۡثٰقِہٖ ۪ وَیَقْطَعُوۡنَ مَاۤ اَمَرَ اللہُ بِہٖۤ اَنۡ یُّوۡصَلَ وَیُفْسِدُوۡنَ فِی الۡاَرْضِ ؕ اُولٰٓئِکَ ہُمُ الْخٰسِرُوۡنَ﴿۲۷﴾

✏️Tarjumah :
Wo Jo ALLAH Ke Ahad Ko Tordh Dete Hai Paka Hone Ke Bad Aur Katate Hai Us Chiz Ko Jiske Jord Ne Ka Khuda Ne Hukm Dia Hai Aur Zamin Me Fasaad Failaate Hai Wahi Nuqsaan Me Hai (Ayat 27)

Tafseer 

Yeh Aayat Pehli Ayat Ka Tatmiyah Hai Aur Isme Fasiqo Ki Sifaat Bayan Ki Gayi Hai Ke Wo Wo Hai Jo ALLAH Ke Ahad Ko Pakka Hone Ke Bad Tordh Dete Hai. Yani ALLAH Ta'ala Se Jo Ahad Kia Tha Us Se Phir Jate Hai Aur Use Pura Nahi Karte Hai, Aur Jis Chiz Ka ALLAH Ne Unhe Hukm Farmaya Tha Use Katate Hai, Yani Nabi Karim ﷺ Ke Sath Qatah Rehmi Karte Hai. Ya Yeh Ke Har Chiz Ko Katate Hai Jiske Jordh Ne Aur Karne Ka Hukm Dia Gaya Tha, Jaise Qatah Rehmi Karna Musalmano Ki Mawalaat Se Airaz Karna , Ambiyah Allaysallam Se Tafriq Karna Aur Un Kitabo Ki Tasdiq Na Karna Aur Zamin Me Fasaad Pahlate Hai. Yani Gunah Karte Hai Aur Gunaho Ke Karne Ki Targib Dete Aur Imaan Lane Se Rokte Hai Aur Haq Ki Hansi Udate Hai, Yeh Log Tote Hai, Ayat Me Ahad Se Muraad Ya To Wo Ahad Hai Jo Roz E Mishaq Me ALLAH Ta'ala Ne Tamaam Zuriyat E Adam Allaysallam Se Apni Rabubiyat Ka Lia Tha Jiski Taraf Ye Ayat وَ اِذْ اَخَذَ رَبُّکَ مِنۡۢ بَنِیۡۤ اٰدَمَ مِنۡ ظُہُوۡرِہِمْ ذُرِّیَّتَہُمْ Surah Ahraaf Ayat 172
 Me Irshad Farmaya Gaya Hai, Ya Wo Ahad Muraad Hai Jo Agli Ummato Se Huzur Purnoor Par Imaan Laane Ki Babat Lia Gaya Tha. Aur Baaz Mufsirin Ne Is Ahad Se Wo Ahad Muraad Lia Hai Jo Hazrat Musa Allaysallam Ke Jariye Bani Israil Se Liya Gaya Tha Ke Mere Ambiyah Par Imaan Lana, Shirk Na Karna. Wagera Wagera, Is Taqdir Par Is Ayat Ke Mukhatib Yahud O Nasara Hoge.

📚Tafseer E Razvi Jild 1 Safah 21


👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

इमाम अहमद रज़ा खां फ़ाज़िले बरैलवी अलैहिर्रहमा कितने बार हज़ व ज़ियारत की सआदत से मुशर्रफ़ हुए*0️⃣1️⃣

आला हज़रत और रद्दे बिद्आत