Tafseer E Razvi 1⃣2⃣

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴



*🥀 Tafseer E Razvi 🥀*



Post 12

اَوۡ کَصَیِّبٍ مِّنَ السَّمَآءِ فِیۡہِ ظُلُمٰتٌ وَّ رَعۡدٌ وَّ بَرۡقٌ ۚ یَجۡعَلُوۡنَ اَصٰبِعَہُمۡ فِیۡۤ اٰذَانِہِمۡ مِّنَ الصَّوٰعِقِ حَذَرَالۡمَوۡتِ ؕ وَاللہُ مُحِیۡطٌۢ بِالۡکٰفِرِیۡنَ﴿۱۹﴾

✏️Ya Jaise Asman Se Utarta Paani Ke Us Me Andheriyah Hai Aur Garj Aur Chamak Apne Kano Me Ungliyah Thhons Rahe Hai Kadak Ke Sabab Maut Ke Dar Se Aur ALLAH Kafiro Ko Ghere Hue Hai (Ayat 19)

 یَکَادُ الْبَرْقُ یَخْطَفُ اَبْصٰرَہُمْ ؕ کُلَّمَاۤ اَضَآءَ لَہُمۡ مَّشَوْا فِیۡہِ ٭ۙ وَ اِذَاۤ اَظْلَمَ عَلَیۡہِمْ قَامُوۡا ؕ وَلَوْشَآءَ اللہُ لَذَہَبَ بِسَمْعِہِمْ وَاَبْصٰرِہِمْ ؕ اِنَّ اللہَ عَلٰی کُلِّ شَیۡءٍ قَدِیۡرٌ﴿۲۰﴾٪

Bijali Yun Malum Hoti Hai Ke Unki Nigahe Uchak Le Jayegi Jab Kuchh Chamak Hui Usme Chalne Lage Aur Jab Andhera Huwa Khade Rah Gaye Aur ALLAH Cahta To Unke Kaan Aur Aankh Le Jata Beshak ALLAH Sab Kuch Kar Sakta Hai (Ayat 20)

Tafseer

Tafseer Bayan Ul Bahaan Me Tahat Ayat Mazkura Bataur E Shaan E Nuzul Likha Hai Ke Madina Se Do Munafiq Bhag Kar Chale, Rah Me Shiddat Ki Baarish Hone Lagi Andhera Ghup Hone Laga, Garj Wa Chamak Zor Se Hone Lagi, Dono Hairaan Wa Pareshan Khade Ho Gaye, Jab Garj Hoti To Dono Kaano Ke Phat Jane Aur Mar Jaane Ke Dar Se Kaano Me Ungliyah Thhons Lete, Jab Bijjali Chamakati Aur Kuch Roshani Hoti To Do Qadam Chalte , Aur Jab Andhera Ho Jata To Ruk Jate, Aakhir Hairaan Wa Pareshaan Ho Kar Aapas Me Kahte Ke Kash Subah Ho Aur Barish Thamey To Hum Rasoolallah ﷺ Ki Khidmat Me Hazir Ho Kar Bait Karey, Jab Subah Hui To Hazir E Khidmat Ho Kar Imaan Laaye, Unki Mishaal Ayat Me Bayan Ki Gayi Hai, Behar Haal Maqsud In Dono Mishalo Se Munafiqo Ki Halaat Ko Aag Jalane Walo Aur Aasmani Barish Me Phans Jane Walo Ki Halaat Se Tashbiyah Dena Hai Aur Wo Bakhubi Un Par Chaspa Hai.

📚Tafseer E Razvi Jild 1 Safah 19



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

इमाम अहमद रज़ा खां फ़ाज़िले बरैलवी अलैहिर्रहमा कितने बार हज़ व ज़ियारत की सआदत से मुशर्रफ़ हुए*0️⃣1️⃣

आला हज़रत और रद्दे बिद्आत