Aur Wo Jo Imaan Laaye Us Par Jo Aey Mehboob Tumhari Taraf Utara Aur Jo Tum Se Pehle Utra Aur Aakhirat Par Yaqin Rakhein 3⃣

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴



*🥀 Tafseer E Razvi 🥀*



Post 3

وَالَّذِیۡنَ یُؤْمِنُوۡنَ بِمَاۤ اُنۡزِلَ اِلَیۡکَ وَمَاۤ اُنۡزِلَ مِنۡ قَبْلِکَ ۚ وَ بِالۡاٰخِرَۃِ ہُمۡ یُوۡقِنُوۡنَؕ﴿۴﴾

Tarjumah :

✏️Aur Wo Jo Imaan Laaye Us Par Jo Aey Mehboob Tumhari Taraf Utara Aur Jo Tum Se Pehle Utra Aur Aakhirat Par Yaqin Rakhein 

Agar Che یُؤْمِنُوۡنَ بِالْغَیۡب Al Baqra Ayat 3 Se Jumla Kutub Samawiyah Par Aur Aakhirat Par Imaan Lana Samja Ja Raha Tha Magar Is Ayat Me Bataur Takhsis Bad Ta'amin Zikr Kia Gaya Taake Yahud Wa Nasara Ka Rad Ho Jaye Ke Wo Kahte Thay Ke Hum Bhi Asmani Kitabo Par Imaan Rakhte Hai. Yani Muttaqi Wo Hai, Jo Quraan Azim ,Taurait,Injil Aur Zaboor Wagera Kutub Samawiyah Par Imaan Laye Aur Aakhirat Par Yaqin Rakhte Hai Na Wo Kisi Ek Kitaab Par Imaan Laye Baqi Par Imaan Na Laaye Baz Mufsirin Ke Nazdik Yeh Ayat Abdullah Bin Salaam Aur Unke Mishl Mominin Ahl Kitaab Ke Bare Me Hai Aur Wo Jumla Mutaqin me Dakhil Hai Yeh Qaul Abdullah Ibn Abbas Radiallahu Ta'ala Anho Ka Hai Is Ka Ataf Mutaqin Par Hai To Yeh Ma'ani Hoge : Quraan Hidayat Hai Mutaqiyon Ke Liye Aur Dusre Deen Walo Ke Liye (Baizawi)

Tambiyah : مَاۤ اُنۡزِلَ اِلَیۡکَ Se Aam Wahi Murad Hai Wo Khawa Matlu Ho Yani Jibrail Use ALLAH Ki Janib Se Billafz Muqrar Laye Ho, Ya Gair Matlu Ho. Yani Bila Tawsut Jibrail Wa Bila Alfaaz Muqrar Aa Hazrat ﷺ Ke Qalb Me Ilqa Hui Ya Bazariyah Kashf Wagera Malum hui Hai Aur Huzur Ne Use Zahir Farmaya Ho Is Sab Par Imaan Lana Wajeeb Hai Aur مَاۤ اُنۡزِلَ اِلَیۡکَ Se Murad Wo Kitabein Aur Sahife Hai Jo Huzur Se Pehle Ambiyah Par Nazil Hui Aur Sab Par Imaan Lana Lazim Hai Na Ke Un Par Amal Karna, Unki Tadad Mufsirin Ne Ek 104 Likhi Hai.

Tafseer Razvi Jild 1 Safah 13



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

इमाम अहमद रज़ा खां फ़ाज़िले बरैलवी अलैहिर्रहमा कितने बार हज़ व ज़ियारत की सआदत से मुशर्रफ़ हुए*0️⃣1️⃣

आला हज़रत और रद्दे बिद्आत