Yeh Wo Log Hai Jinhone Hidayat Ke Badale Gumhrahi Kharidi To Unka Soda Kuch Nafah Na Laya Aur Wo Sode Ki Rah Jante Hi Na Thay 🔟

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴



*🥀Tafseer E Razvi 🥀*



Post 10

 اُولٰٓئِکَ الَّذِیۡنَ اشْتَرَوُا الضَّلٰلَۃَ بِالْہُدٰی ۪ فَمَا رَبِحَتۡ تِّجٰرَتُہُمْ وَمَا کَانُوۡا مُہۡتَدِیۡنَ﴿۱۶﴾

Tarjumah 

Yeh Wo Log Hai Jinhone Hidayat Ke Badale Gumhrahi Kharidi To Unka Soda Kuch Nafah Na Laya Aur Wo Sode Ki Rah Jante Hi Na Thay

Tafseer

Yeh Bhi Munafiqo Ka Haal Tatmiyah Hai,Matlab Yeh Hai Ke Munafiq Aise Log Hai Jinhone Hidayat Ke Badle Gumrahi Mol Li, Yani Jo Johar Fitari Unke Andar Tha Uski Roshni Me Wo Sidhi Rah Chal Sakte Thay, Uski Unhone Qadr Na Ki Aur Kufr Wa Asiya Me Pad Kar Apne Zahir Wa Batin Ko Ek Saa Na Rakh Kar Use Barbad Kia, Use Apne Nazdik Unhone Bade Nafah Ki Tijarat Khayal Kia Ke Zuban Se Kalma Pad Kar Apna Jaan Maal Nuqsaan Se Bacha Lia, Aur Uski Badaulat Deeni Nafah Hasil Kar Liya, ALLAH Ta'ala Farmata Hai Ke Is Tijarat Ne Unhe Koi Nafah Na Dia Aur Na Unko Tijarat Karna Aayi Ke Tijjarat Se Asal Maal Laga Kar Nafah Kamana Aur Asal Maal Baqi Rakhna Maqsud Hota Hai Aur Unhone Asal Maal Se Bekar Chiz Kharid Kar Asal Maal Bhi Barbad Kia Aur Nafah Na Kamaya, Nafah Ki Tijaarat To Yeh Thi Ke Us Johar Fitari Ko Khuda Ki Rah Me Sarf Karke Dunia Wa Uqba Me Nafah Uthhate, Dunia Me Ruswai Aur Aakhirat Me Ajaab E ILLAHI Se Bachate, کما قل اللہ تعالی
 
 یٰۤاَیُّہَا الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا ہَلْ اَدُلُّکُمْ عَلٰی تِجٰرَۃٍ تُنۡجِیۡکُمۡ مِّنْ عَذَابٍ اَلِیۡمٍ ﴿۱۰﴾
 Alkh Surah Saf Ayat 10 

📚Tafseer E Razvi Jild 1 Safah 17



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

इमाम अहमद रज़ा खां फ़ाज़िले बरैलवी अलैहिर्रहमा कितने बार हज़ व ज़ियारत की सआदत से मुशर्रफ़ हुए*0️⃣1️⃣

आला हज़रत और रद्दे बिद्आत