A'ALAHAZRAT KI RIYAZI DANI 0⃣6⃣

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴



 *🥀 ZIKR-E-IMAM AHMAD RAZA KHAN رحمت اللہ علیہ 🥀*



*👉 POST: 0⃣6⃣*

*🌹الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ*

🌴 *A’ala Hazrat Ki Riyazi Dani* 
💎 _Allah Ta’ala ne A’la Hazrat رحمة الله تعالى عليه ko bay-andazah U’loom jalila se nawaza tha. Aap se kamo-baysh pachas U’loom mein Qalam uthaya Aur qabil-e-Qadar kutub tasneef farmaye. Aap رحمة الله تعالى عليه ko her fun me qafi dastaras hasil thi. Elm-e-toqeet mein is Qadar Kamal Hasil tha ke Din ko Suraj Aur Raat ko Sitare dekh ker ghari mila lete._

🌻 *Waqt Bulkul sahi hota Aur kabhi Ek Minute ka bhi Farq na Huwa. Elm-e-Riyazi me Aap Yagana-e-Rozgar the. Chuna-chay Ali-Garh University ke Voice Chanceller Doctor Ziya-u-din jo kay Riyazi mein Gair Mulki Digriyan Aur tamgha-jaat hasil kiye huway the. Aap رحمة الله تعالى عليه ki khidmaat mein Riyazi ka Ek Mas’ala puchnay Aaye. Irshad huwa : Farmaye !* 

💠 _Unhon ne kaha: wo Eysa Mas’ala nahi Jesay itni asani se Arz karon. A’aala Hazrat رحمة الله تعالى عليه ne farmaya: Kuch to farmaye. Voice Chanceller Sahib ne Sawal pesh kiya to A’ala Hazratرحمة الله تعالى عليه ne usi waqt iska tashafi bakhsh Jawab de diya. Unhon ne Intahae herat se kaha ke mein Is Mas’alay ke leye ' Jana chahta tha ittifakan hamare Diniyat ke Professor Moula Sayed Sulayman Ashraf Sahib ne Meri Rayhnuma’e farmae Aur mein yahan Hazir Ho Gaya. Youn Ma’loom hota hai ke Aap Isi Mas’alay ko kitab dekh rahay the. Doctor Sahib Ba-sad farhat-o Musarrat wapas Tashreef le gaey Aur Aap رحمة الله تعالى عليه ki Shakhsiyat se is Qadar Mutassir huwe ke darhi rakh li Aur Soom-o-Salat ke Paband ho gaye._

🌺 *E’lawa Azen Mere Aaqa A’ala Hazrat Elm-e Takseer, Elm-e- Hayet, Elm-e-Jafar Waghera me bhi Qafi Maharat rakhte the.*

 _*Ref:*_ 
📚 _[ Aidans 223, 229 ]_ 

📚 _[ Tazkirah E Imam Ahmad Raza page no:07 ]_..

     📮 *Next Post Continue...* 



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

इमाम अहमद रज़ा खां फ़ाज़िले बरैलवी अलैहिर्रहमा कितने बार हज़ व ज़ियारत की सआदत से मुशर्रफ़ हुए*0️⃣1️⃣

आला हज़रत और रद्दे बिद्आत