KYA A'ALAHAZRAT NE QUDS SIRA BEDARI KI HALAT ME SARKAAR KA DIDAAR KIYA

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴




*🥀 Razwiyat 🥀*



Kya Ala Hazrat Quds Sira Bedari Ki Halat Me Ziyarat E Aqdas ﷺ Se Mushraf Hue Hai ? EK Riwayat Se Mut'liq Sawaal



Ek Waiz Ne Ek Waqiah Bayan Kia Ke Ala Hazrat Maulana Ahmad Raza Khan Rehamtullah Allay Barelvi Madina Munawara Tashrif Le Gaye To Huzur ﷺ Ke Roza Aqdas Par Hazri Di. Sarkar Ne Mazar E Anwar Se Dast E Mubarak Nikal Kar Ala Hazrat Se Musafa Kia, Kya Yeh Durusat Hai ?

2 Wo Kon Naujawaan They Jinke Darhi Me Sirf Ek Baat They Aur Wo Hazir E Darbar Hote Rahte They. EK Din Wo Baal Munda Kar Hazir E Darbar Hue , Sarkar Ne Mun Pher Liya,. Jab Unhone Israr Kia To Sarkar Ne Farmaya Tumhari Darhi Ke Is Baal Par Farishtein Jhula Karte They, Aaj Na Paa Raha Hun ?

Al Jawaab

1 Waiz Ne Jo Waqiah Bayan Kia Wo Mukmal Nahi. Waqiyah Yeh Hai Ke Mujjadeed E Azam Ala Hazrat Quds Sira Ne Bargah E Aqdas ﷺ Me Arz Kia Ke Khawab Me Sarkar Ne Bar Ha Ziyarat Se Mushraf Farmaya Hai, Bedari Me Ek Bar Mushraf Farmaye, Kai Bar Darkhawast Paish Ki, Yeh Sharf Hasil Na Huwua, Bil Aakhir Mashur Nazam Likhi.

Wo Sue Lalazaar Phirte Hai Tere Din Aey Bahar Phirte Hai

Puri Nazm Likh Kar Bargah Me Paish Ki To Sarkar Ne Karam Farmaya, Bedari Ke Alam Me Sarkar Ne Jalwa Dikhaya Aur Ala Hazrat Quds Sira Ne Dast Bhosi Farmai.

Yeh Waqiah Arifbillah Hazrat Maulana Ziya Ul Den Sahab Muhajir Madni Rehamtullah Allay Ne Saikdo Admiyon Se Bayan Farmaya, Jin Me Se Kam Az Kam 10 Admiyon Se Maine Suna , Sharan Is Me Koi Ist'abad Nai. Wallahu Ta'la Allam.

2 Yeh Riwayat Meri Nazar Se Nahi Guzri. 

Wallahu Ta'la Allam.

Fatwa E Shareh Bukhari Jild 3 Safah 468



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

इमाम अहमद रज़ा खां फ़ाज़िले बरैलवी अलैहिर्रहमा कितने बार हज़ व ज़ियारत की सआदत से मुशर्रफ़ हुए*0️⃣1️⃣

आला हज़रत और रद्दे बिद्आत