KYA A'ALAHAZRAT NE ANSARIYON KE PICHE NAMAZ PADHNE SE MANA FARMAYA

ЁЯПБЁЯФ┤ЁЯПБЁЯФ┤ЁЯПБЁЯФ┤ЁЯПБЁЯФ┤ЁЯПБЁЯФ┤






*ЁЯеА Razwiyat ЁЯеА*





Kya Ala Hazrat Ne Ansariyon Ke Piche Namaz Padne Se Manah Farmaya ?

Masla 

Kya Farmate Hai Ulma E Deen Wa Muftiyan E Sharah Matin Madarja Zail Masla Me Ke Logo Se Suna Hai Ke Imaam Ahl E Sunnat Ahmad Raza Khan Sahab Barelvi Ne Farmaya Hai Ke Jola Hai (Ansari) Ki Imamat Durusat Nahi ? Kya Yeh Sahi Bat Hai ?

Al Jawaab

Mujadeed E Azam Imaam Ahmad Raza Quds Sira Par Yeh Bohtaan Hia Aur Iftara Hai Ke Unhone Farmaya Hai Ke Jula Hai Ki Imamat Durusat Nahi. Iske Jawaab Me Yahi Kahna Kafi Hai. " Jhootho Par ALLAH Ki Laanat". Iske Bar Khilaaf Hazrat Quds Sira Apni Namaz E Janat Ke Bare Me Yeh Wasiyat Farmai Ke Al Mant Ul Matar Me Ahadees Me Warid Namaz E Janaza KI Tamaam Duyain Darj Hai. Agar Hamid Raza Ko Wo Tamaam Duayein Yad Ho To Wo Meri Namaz E Janaz Padaye Warna Amjad Ali Sahab Padaye. Yani Hafiz E Millat Quds Sira Ke Ustaz Hazrat Sadruh Shariah Maulana Amjad Ali Sahab Quds Sira Jo Zat Ke Ansari They Aur Ala Hazrat Quds Sira Ko Yeh Malum Bhi Tha. Khud Yeh Khadim 11 Sal Bareli Raha Aur Ala Hazrat Ki Masjid Me Imaamat Karta Raha, Hazrat Mufti E Azam E Hind Ne Mujhe Imaamat Ka Mansab Ata Farmaya, Jumuah, 5 Waqta Khud Meri Iqtada Me Hazrat Mufti E Azam Quds Sira Padte Rahe.

Wallahu Ta'la Allam.

Fatwa E Shareh Bukhari Jild 3 Safah 367




ЁЯССЁЯССЁЯССЁЯССЁЯССЁЯССЁЯССЁЯССЁЯССЁЯСС
*ЁЯПБ MASLAKE AALA HAZRAT ЁЯФ┤*

рдЯिрдк्рдкрдгिрдпाँ

рдЗрд╕ рдм्рд▓ॉрдЧ рд╕े рд▓ोрдХрдк्рд░िрдп рдкोрд╕्рдЯ

Aur Jo Unse Kaha Jaye Zamin Me Fasaad Na Karo To Kahte Hai Hum To Sanwarane Wale Hai(Ayat 11)7⃣

рдЗрдоाрдо рдЕрд╣рдордж рд░рдЬ़ा рдЦां рдл़ाрдЬ़िрд▓े рдмрд░ैрд▓рд╡ी рдЕрд▓ैрд╣िрд░्рд░рд╣рдоा рдХिрддрдиे рдмाрд░ рд╣рдЬ़ рд╡ рдЬ़िрдпाрд░рдд рдХी рд╕рдЖрджрдд рд╕े рдоुрд╢рд░्рд░рдл़ рд╣ुрдП*0️⃣1️⃣

рдЖрд▓ा рд╣рдЬ़рд░рдд рдФрд░ рдиाрдоूрд╕ рдП рд░िрд╕ाрд▓рдд я╖║ рдХा рдкрд╣рд░ा